guide6 min read13 September 2026127 views

Class 10 Ke Baad Scholarships 2026 — Poori List

By Team ScholarDost

Class 10 pass karne ke baad bahut students ko lagta hai ki scholarship sirf college ke liye hoti hai. Yeh galat hai.

Class 11 aur 12 ke liye bhi bahut scholarships hain — aur competition kam hoti hai.

Government Scholarships

1. NSP Post-Matric Scholarship

Class 11 se post-matric shuru ho jaata hai.

CategoriesSC, ST, OBC, Minority
AmountCourse ke hisaab se
Last date31 October 2026
Portalscholarships.gov.in

Zaroori: Class 9-10 wale pre-matric mein aate hain, jiski deadline alag hoti hai (31 August).

2. NMMS — National Means-cum-Merit

AmountRs 12,000/year
Class9 se 12 tak
Income limitRs 3,50,000
ShartClass 8 mein NMMS exam pass karna
Last date30 September 2026

Sirf government/aided school ke students eligible hain.

3. Pre-Matric Scholarship (Class 9-10)

SC, ST, OBC aur Minority students ke liye. NSP par.

Deadline aam taur par 31 August hoti hai — post-matric se alag.

Gujarat Ke Students Ke Liye

4. Namo Lakshmi Yojana

Kiske liyeLadkiyan, Class 9-12
AmountRs 50,000 total (4 saal mein)
BreakupClass 9-10: Rs 10,000/year, Class 11-12: Rs 15,000/year
Income limitRs 6 lakh

Government, grant-in-aid aur private schools — teeno eligible.

5. Namo Saraswati Vigyan Sadhana Yojana

Kiske liyeClass 11-12 Science stream
AmountRs 25,000 total
BreakupRs 1,000/month × 10 mahine × 2 saal + Rs 5,000 Class 12 pass pe
ShartClass 10 mein 50%+

Paisa maa ke bank account mein aata hai.

6. Tuition Sahay Yojana

Kiske liyeClass 11-12 Science, SEBC category
AmountRs 15,000/year
ShartClass 10 mein 70%+ marks
PurposePrivate tuition classes ke liye

7. Digital Gujarat Post-Matric

Class 11 se shuru. SC, OBC/SEBC, ST — sabke liye.

  • SC/OBC last date: 30 September 2026
  • ST last date: 30 November 2026

8. Vidhyasadhana Yojana

Class 9 ki ladkiyon ko free cycle. Ghar se school door hai toh kaam aati hai.

Corporate Scholarships

9. SBI Asha Scholarship

Class 9 se shuru hoti hai.

School category (9-12)Rs 15,000
Last date19 September 2026

10. Mahindra EmpowerHer

Kiske liyeLadkiyan, SC/ST/OBC
Class9 se PG
AmountRs 5,500
Income limitRs 4 lakh
Last date21 September 2026

11. Bharathi Cement Scholarship

Class 9 se PG tak. Vidyasaarathi portal se.

Documents Jo Chahiye

  • Aadhaar Card (mobile linked)
  • Class 10 marksheet
  • School bonafide certificate
  • Income certificate (Aavak no Dakhlo)
  • Caste certificate (agar applicable)
  • Bank passbook — student ke naam par, Aadhaar linked
  • Passport photo

Zaroori Tips

1. Pre-matric aur post-matric alag hain Class 9-10 = pre-matric, Class 11+ = post-matric. Deadlines alag.

2. Bank account abhi khulwa lo Minor account bhi chalega, lekin student ke naam par hona chahiye.

3. Ek se zyada apply karo Alag purpose ki scholarships ek saath mil sakti hain.

4. Science stream mein zyada options hain Namo Saraswati, Tuition Sahay — dono sirf science ke liye hain.


Har scholarship ki eligibility alag hai. Apply karne se pehle official portal par confirm karein.






Related Guides

#class 10#class 11#class 12#NMMS#Namo Lakshmi#scholarship 2026

Apni Scholarships Dhundho

Free register karo aur apni eligible scholarships abhi dekho